Asal Hum Amaal ko Aadaat kay taur par kar rahein hain.
A'maal to Ibaadat kay taur par karengay to fayda hai.
Isteghfaar khud ek zikr hai. Log kahtay hain kay Iteghfaar gunaah karnay kay baad karna. Yeh kahna hai sahi nahi hai.
Allah (swt) ki khudrat waadon kay saath hai aur wa'day Hukmoun kay saath hai, Asbaab kay saath koi waada nahi hai
Namaaz ko Qaa'yem karna hai isko acchhi tarah bana kar padhna hai.
Jiss nay Qouma poori tarah na kiya uss nay namaz ko bigaad daala
Jab tumhay nek Ama'al khush karay aur gunaah ghamgeen karay to yeh Emaan ki Alaamat hai.
Allah ki zaat say fayda uthanay kay liye Kaiyenaat ka yaqeen Nikaalna shart hai.
Allah ka saath asal hai, agar koi haajat pesh aajaye to fouran Allah ki taraf mutawajjoh ho jao.
Hazrat Umar (Rz.A) ka irshaad hai Allah ka zikr karo to Allah kay dhyaan kay saath karo, Allah ka zikr Allah ka dhyaan paiyda karnay kay liye hai. Jitna zikr may dhyaan paida karnay ki koshish karogay pooray amaal may dhyaan paida hona shuru ho jayega.
Jo amal Allah kay ghair kay liye hoga usta Azaab hoga. Ikhlaas ki yeh hai ki RIYA ka shuba dil may ho.
Iss raastay main koi bhi takleef aaye to Saha'ba ki takleef ko yaad karo
Saha'aba ki khurbaani hamaray samnay ho, Khaybar ki sardi, Tabook ki garmi aur Khandhak ki bhook.
Huzoor (SWAS) in har mouqay par sahaba ko khurooj may nikaala.
Raahaton say kufr phaiylta hai, Islaam takleef say phaiylta hai.
Bazaar main 4th Kalima padhnay ka sawaab 10lakh nekiyaan hai.
Chaine, Izzat, barkat, hifaazat 24 ghantay kay deeni ama'al mein hai.
Cheezon say kaam nahin bantay, kaam Allah banatay hain. Cheezen (things) khaali bartan(empty vessels) hai, agar Allah chahengay to kaam banengay.
Insaan ki fitrat hai, jissay mohabbat karta hai uskay taa'bay hokar chalta hai. Allah kay raastay main nikal kar Allah ki badhaai (greatness) khoob bolo takay Allah kay ghair ka yaqeen dil say nikal jaye.
Jannat aur Jahannam kay maloomat to ghair muslim bhi haasil kar sakta hai,, ek sahab kahnay lagay ki unhonay Jannat-Jahannam may Ph.D ki hai.
Wa'day aur waeedon ka sunna yaqeen lanay kay liye hai.
Kalmay ki daa'wat ka zyaada haqdaar Mo'min hai. Yeh samajhna ki kalmay ki mehnat ghairon kay liye hai sahi nahi hai. Ghairon kay liye to islaam ki daa'wat hai aur emaan ki daa'wat emaan walon kay liye.
Hum zikr to kartay hai, lekin Allah (swt) ka Tazkera nahin kartay.
Bazaaron(markets) main ghair ka tazkera karnay say bazaaron ka tazkera ghaalib aa jayega.
Daa'wat ka kaam farz-e-Aiyn hai, yaani apni zaat kay liye. Jo kaam doosron kay liye hota hai usay farz-e-kifaaya kahtay hain.
Jo namaaz main ghaafil hai, woh doosray azkaar main Allah ka dhyaan nahin la sakta.
Aaj say yeh taiye (decide) karo ki jo bhi haajat pesh aayegi fourann namaaz ki taraf mutawajjoh hongay.
Jis nay asbaab ko muqaddam kiya usnay Allah ko peechey kar diya
Sadqaat ko asbaab par muqaddam karo. Iss liye ki sadqa aanay wali bala'a ko raastay hi say rukhsat(rok) deta hai.
Hum sadqa jab dete hain jab bala'a pahunch jaati hai.
Sadqa hukum poora karnay kay liye karna hai haajat poori karnay ke liye nahin.
hamaray dil main daa'wat kay kaam ki ehmiyat ka yaqeen hona zaroori hai.
Allah kay saath qurb haasil karnay ke liye, iss kaam say zyaada koi raastay main nahi hai.
Agar hamari daa'wat doosron ki Islaah ho to hum ghaa'fil hongay. Jab daawat apnay liye hogi to apnay andar istedaa'at paida hogi.
Allah Taa'la nay asbaab isliye banaye hain ki dekhein iss mein padh kar, banda Allah ko kitna yaad rakhta hai.
Jo natayej(results) ko Allah ki taraf mansoob karega woh shaaker hai.
Jo natayej(results) ko ghair ki taraf mansoob karega woh mushrik hai.
Allah kay waa'day Ama'al kay saath hai, asbaab kay saath nahin.
Hum jitna apnay aap ko asbaab main thakaatay hain, utna Ama'al main thakaday to Allah hamein asbaab say faarigh kardengay ya hamaray asbbaab main barkateein daal dengay.
Asbaab banaakar Allah say maangna kufr hai.
Ama'al banaakar Allah say maangna Emaan hai.
Jiss main Allah kay saamnay asbaab rakh kar manga woh Allah ki Qudrat ka Inkaar kar diya.
Shaytan nay waa'don ko ghair yaqeeni banadega. Log samjhengay ki woh sahaba thay, iss liye unkay saath hua, hamaray saath nahi hoga. Sahaaba kay saath madad(help) unkay Ama'al ki wajah say hui, aur jitnay karamaat buzurgon ne kiye woh un Ama'al key hain jo unhonay kiye.
Showing posts with label Markaz Nizamuddin - Hidayaat (Aug 2009). Show all posts
Showing posts with label Markaz Nizamuddin - Hidayaat (Aug 2009). Show all posts
Sunday, October 11, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)